Friday, May 15, 2009

"badee hee vichitra hai zindagee,beedu.........."

Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai


Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai

Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Un se Pyaar hum karte nahi hain

Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain

5 comments:

  1. When did you start hindi poetry ?!!

    ReplyDelete
  2. i saw a musical last night.
    dwarfs performin to a folk number. :)

    ReplyDelete
  3. Friday, May 15, 5.32 am...

    Maths chodke tu poetry likh raha tha??

    guts yaar

    ReplyDelete
  4. ROFLMAO... sorry yaar lekin I felt ki you were drunk when you wrote this... I can understand what you feel. :D

    ReplyDelete
  5. @PD
    jab dil dard-e-bayan karta hai tab bas bhaaw maaene rakhta hai bhasha nahee!!....hanna anuj?

    @turncoat
    smne in cafe was appreciating your performance in the bhojpuri movie!:D

    @mukul
    paper main kuch aata hee nahee thaa yaar...toh yehi sahee!

    @abhishek
    'bandar kya jaane adhrak ka swaad':D
    n Mr. Turncoat dare u snub!

    ReplyDelete